SEO krne say kya hota hai or hum isme kya krte hain ?
SEO krne say apki website google mein first Page pe show hoti hai or top 3 mein bhi aa skti hai, jisse ki apka Product ya service search krne valai log waha click krenge or apko Call kr k apse apka Product ya service purchase krenge. Simple baat krein to ye internet say new customers lane ka ek source hai.
Ab important baat ye hai k ap SEO mein esa kya krengai k apki website Google mein 1st Page pe aa jaye ?
Ek hoti hai website or ek hai SEO Friendly Website. Google me kuch SEO Friendly Website k 10-15 basic rules set kiye hain, agar hum in rules ko follow krte hain to Website SEO Friendly Ho Jati hai. Rules follow krne k ese process ko On-Page SEO kaha jata hai.
SEO ka 2nd type hai – Off Page SEO
On-Page SEO k sare rules follow krne k baad ek simple website ban jati hai SEO Friendly Website or iske baad shuru hota hai Off Page SEO.
Off- Page mein hum apni Website say bahar ki Website pe kaam krtein hain to increase our business presence and to bring traffic. Dusri popular websites like Facebook, Instagram, YouTube jaha already bohut say log present hai, un logo ko apni Website pe leke ane k process ko Off Page Seo kehte hain.
Dusri Website say apni Website pe traffic/ audience lane k liye hum posts or ads bnate hain or use Facebook or Baki websites pe Post krtein hain. Post k sath apni Website ka Link bhi Add krte hain jispe click kr k interested log hamari Website pe aa ske.
Isi link add krne k process ko Backlink kaha jata hai, jo k Off Page Seo ka sabse important part hai. Jab hum On Page Seo and Off Page Seo k sare rules follow krte hain to sath sath he hamari Website ki ranking uper ana shuru ho jati hai. Es poore process ko SEO kaha jata hai.
On Page and Off Page k sath SEO ka 3rd part hai Technical SEO.
- txt
- sitemap
- Link google analytics
- search console / webmaster
- Structured data/ Google Tag Manager
Uper likhe 5 points ko Elements of Technical SEO bhi kaha jata hai. Ye sunme shayad apko thoda zada technical ya coding jaisa lgai but hai bohut assaan. Website mein Technical SEO implement krne ka complete process ap kisi bhi basic seo course mein seekh sktein hain. Agar ap complete SEO seekh kr SEO professional bnna chahte hain to humein contact kijiye at 97800-25787
Webbaba ek company Institute hai jaha freshers ko digital marketing ki training de jati hai or kaam bhi milta hai. Yaha ap seekhte seekhte paise bhi kma skte hain agar ap course ko pure dhyaan say krte hain or regular practice krte hain.
SEO course k baad jobs or salary in hindi
SEO course complete hote he ap companies mein job k liye apply kr skte hain as a SEO fresher.
SEO Fresher Salary – Rs. 10,000 – 15,000/- per month
SEO professional 1-2 year experience – Rs. 15,000 – 25,000/- per month
SEO expert with 2-5 year experience Salary – Rs. 25,000 – 60,000/- per month
Iske sath sath ap as a SEO Freelancer bhi kaam kr skte hain.
Webbaba SEO course in Patiala mein apko freelance kya hai, freelancer websites kon c hain for India and abroad, freelance profile kaise honi chahiye, client say baat kaise krni hai, project showcase kya hai or kaise krna hai, payment kaise ati hai account mein, current account, saving account or GST jaise starting steps bhi seekhaye jate hain. Taki ap SEO course seekhne k baad apna kaam kr skein.
Pura SEO course samajhne k liye hamari free Online SEO Course in Hindi ki demo class Join Krein
Dhanyawaad !!